What is the basic rule to create a blog

How to Create a blog

Blogging is my passion not a fashion.

Kya aap bhi blogger Banna Chahte Hain. Kya aap Jante Hain ki blogging kya hota hai aur blogging kaise karte hain. Kya aapki internet Mein Ruchi hai aur blogging ki field Mein kam karna chahte hain. Kya aap blogging ki field Mein master Banna Chahte Hain aur blogging ko hi Apna career banana Chahte Hain. to aap ise Pura padhiye aapko is per blogging se related Sabhi Prakar ke samasyaon ko Door Kiya Jayega.

Agar aapki Ruchi blogging mein hai to aapko ise pura padhna chahie.

What is blogging? Blogging kya hai.


Blogging ek aisa platform hai Jahan per ham Apne vicharon ya fir apni Jankari internet ki sahayata se Duniya Mein faila sakte hai. Internet per Jo kuch bhi search karte hain vah ek Prakar ka blog yah website hi hota hai. Jahan per nai nai Jankari sikhane ko milti hai. Jo Kuchh Bhi internet per padhte Hain use ek blogger hi likhta hai aur apni Jankari ko dusro tak sajha karta hai.

Hamen internet blogging karne se pahle kai vishayon ka gyan hona avashyak hai tabhi Ham Apne article ko acchi tarah likhkar Sahi Jankari ko dusron Tak pahuncha sakte hain. Yadi Ham galat Jankari Internet per post Karenge to koi bhi hamare blog ko padhna Pasand Nahin Karega issay aapka Samay kharab hoga aur aapko Kisi bhi Tarah ka profit nahi hoga or Na hi aap blog se paise Kama Payenge.

What is the basic rule to create a blog
Yadi aap bhi Ek acche blogger Banna Chahte Hain to aapko blog se sambandhit Sabhi Prakar ki jankari honi chahie Jaise…


What is the basic rule to create a blog ―
  • How to create a blog.
  • What is the basic rule to create the blog.
  • How to choose a best domain name.
  • How to choose a best theme or template.
  • How to manage our theme.
  • Basic settings for Blog in blogger.com
  • How many languages available for Blog.
  • How to create a post in blog.
  •  kya aap blog se paise Kama sakte hain.

What is the basic rule to create a blog
What is the basic rule to create a blog.

What is the basic rule to create a blog

 Blogging karne ke liye aapke pass ek Android phone ya computer (laptop ya desktop) hona bahut jaruri hai tabhi aap blogging kar sakte hain aur sath mein internet connection bhi Hona chahie.

E-mail or G-mail account

 Aapke pass Ek Apna email Hona chahie Jiske dwara aap blog banana Chahte Hain blogger per sign ine karne ke liye aapko Usi email ki jarurat padegi jaise ki aapane Apna blog banaya hai.

Yadi aapko e-mail ya g-mail account banana Nahin Aata Hai To uske liye aap is ...link...E-mail id kaise banaye post ko padhakar aasani se email banana Sikh sakte hain.

Sign-up or Sign-in into a blogger

 Aapko blog mein sign in karne ke liye Google per search karna hoga blogger.com Google per pahle link per blogger.com ki website open  hogi use per click Karke use open kar lena hai Iske bad Apne email se apne blog mein sign in karna hai.

New blog banane ke liye aapko create your blog per click karna hai Iske bad email choose karna hai

What is the basic rule to create a blog
What is the basic rule to create a blog.

sign in karte hi aapke Samne Kuchh is Prakar ka interface dekhne ko milega.

What is the basic rule to create a blog
What is the basic rule to create a blog.

Yahan per aapko sabse pahle Display Name me apne profile ka naam dena hai uske bad continue to blogger per click karna hai.

Continue to Blogger per click Karne per aapke Samne ek new page open ho jaega.


What is the basic rule to create a blog
What is the basic rule to create a blog.

Isper aapko aapne blog ka Title likhna hoga aur apne blog ke liye ek blog Address ya Domain Name banana hoga jo ekadam unique ho. Domain name aapko blogspot ka hi diya jaega jisse aap bad main change bhi kar sakte hain.

Aap blogspot domain name ko free me use kar sakte hai.

Agar aap beginner hai ya aap blogging seekh rahe hai to aap free wala domain  name hi use kare jo www.xyz.blogspot.com hota hai.
Blogspot domain ko .Com ya .in Aur Bhi extensions ke sath kaise jodte hain Iske bare mein aapko agale post Mein Jankari mil Jayegi.


How to choose a best domain name


Aapke blog website ka address hi aapka domain name hota hai. Jiski sahayata se aapke website ki pahchan ki Jaati Hai. Har EK website ka domain name unique Hota Hai.

Isi Tarah aapko bhi Apne blog ka unique  address find karna hai. 

Blog ka ek accha sa domain name mil jane per Create Blog per click kare.

Ab aapka ek new blog bun gaya hai. Jisper aap apni jankari ko internet per dal sakte hai. 

Aapke blog ka address chota hona chahiye aur  light weight words ka use karna chahiye . Blog ka address user friendly hona chahiye jisse ki vo blog ke name ko yaad rakh sake. 
Domain name ka size chota hona chahiye. 


Important tips for choosing the perfect domain name


Aapka domain name hi aapki web identity hai

1. User Friendly


Aapke blog ka domain name ekadam unique Hona chahie aur Padhne Mein Aasan Hona chahie Jise ek baar dekhte hi user Yad Rakh sake.

2. Create Short Word Domain and use Keywords


Aapko domain name  main kam se kam words ko use karna chahie aur aapke domain name main keywords hone chahie. Jisse ki Google ranking mein koi problem Na Ho. 

3. Avoid Special Characters


Hamen Apna domain name banate Samay yah Dhyan Rakhna chahie ki vah Padhne Mein Aasan Hona chahie aur type karne mein bhi Aasan Hona chahie special characters, numbers, hyphens ( 123..., _ , - ) ko use Karne Se Bachana chahiye. Jo user-friendly Nahin Hote Hain aur Google ranking mein bhi iska effect padta hai.

4. Research Name


Hamen Apna domain name Banane Se Pahle a research kar lena chahie ki ki is naam ka koi domain name Google per available to Nahin Hai. Yadi is Prakar ka domain name Google per hai to use avoid karna chahie aur ek unique name search karna chahie.


5. Use Proper Domain Name


Aapko apne blog ka domain name apne blog ke purpose ke ke according rakhna chahiye. market Mein Kai Tarah Ke domain name available Hote Hain.

 Main Kuchh top level domain name extensions bata raha hun ismein se aap koi bhi domain name extension Apne blouse ke Prakash ke according Rakh sakte hain.


TOP LEVEL DOMAINS

DOMAIN EXTENSION DETAILS
.Com, .Co for commerce, company and community
.org for non profit organization s
.info for informatics sites
.net for technical, infrastructure sites
.biz for bussiness and commercial sites
.me for blog resume and personal sites


6. Protect your Brand


 aap apne brand ko banane ke liye Ek acche top level domain name ka use Karen tabhi aapka blog Google per acchi Tarah rank kar payega aur aapka Ek alag brand Ban jaega.




How Many Language Available for Blog



Agar blog Mein language ki Bhasha Aati Hai to aap Kisi bhi language mein Apna blog likh sakte hain.

Google ke dwara jitne bhi language Diye Jaate Hain Sabhi language Ham Apne blog Mein likh sakte hain.

Jyadatar blog Hindi / English mein likhe Jaate Hain joki Kafi Jyada popular hai. 


Image me dikhaye gai Circle me language ke option per click kare. Vaha per apne language ko select ker le. Aur ab aap apne language me article likh sakte hai.


Aap blog ko kisi bhi language me padh sakte hai


Blog ko Hindi / English ya Kisi bhi language mein padhne ke liye Google Translater ka upyog karna hoga. Blog me Google Translator ka option alag se diya Hota Hai jismein aap blog ke translation ko padh sakte hain vah bhi apni bhasha (language) mein.


Kya aap Blog se Paise Kma Sakte hai

Ji han blog se Paisa kamaya Ja sakta hai. lekin blog se aasani se Paisa Nahin kamaya Ja sakta Kyunki blog se paise Kamana Aasan Kam Nahin Hai iske liye Kafi mehnat ki jarurat hoti hai.
blog se paise Kaise kamaye Jata Hai iske liye Ham alag se post Lekar aaenge. 
Tab tak ke liye by by...👋👋

Agar Aapko Hamari post pasand aati hai to ise like aur share Karen aur sath hi Hamare blog ko Follow Karen Taki Jaise hi Mein Koi Nai post upload Karun Uski notification aap tak pahunch Jaaye.



No comments:

Powered by Blogger.